Sunday, May 29, 2011

Pyaar, Possessive & Shaq are 3 different words dont make 1 meaning

yaar aaj ka blog hai about being soo possesive well mujhe toh yeh samaj nahi aa raha hai ki y the word "POSSESIVE" is used for the one who cares? mera matlab hai hum jab kisi ko pyaar akrte hai toh uski fikar uski parvah karte hai toh instead of calling yaar tum mera kitna khayal rakhte the says ur too possesive halaki mere samne pyaar aur possesive donno alag cheez hai aur plus kai log possesive ko shaq karna bhi kehte hai.

well toh mein sirf yeh 3 cheez clear karunga in my stlye matlab jo mein manta hu woh mein kahunga

Pyaar:- yeh ek feeling hai jo har kisi k saath nahi hoti I mean bohot tarike ka pyaar hota hai family love, friendship love, aur ek pyaar jo hum apne kisi ko chahne vale ko karte hai. I believe that when u love ur lover is a different kind of feeling coz jab tum kisi ko pyaar karte ho toh tum us par khud se bhi zyada bharosa karte ho agar tum yeh mante ho ke yaar mein sirf pyaar karta hu lekin bharosa nahi hota toh yeh pyaar nahi hai yeh sirf infatuation hai matlab woh insaan sirf tumhe acha lagta hai uski baatein achi lagti hai lekin use pyaar nahi kehte.

Pyaar hota hai do dillo k milne se agar mein apni baat karu toh mujhe pyaar huva hai meri gudiya se coz mujhe uski har baat achi lagti hai, uski har soch sachi lagti hai, uske saath bitaye har waqt ko mein ehmiyat deta hu, mujhe uske gusse mein bhi pyaar nazar aata hai aur usse dur rehta hu toh har waqt uska khayal aata hai. toh yeh thi meri feelings aur meine yeh feelings bohot saalo tak feel ki uske baad mein sure hua k I am in love yeh hota hai pyaar.

Possessive:- well yeh word mujhe kabhi kabhi acha lagta hai sunne mein aur kabhi kabhi gussa dilata hai mera yeh manna hai ki tum possesive raho lekin itna possesive mat ho jao ki samne vala tumhe keh de k taht ur very possesive or y ur soo possesive halaki possesive ka matlab hota hai fikar rakhna and u know what mein toh bahot fikar rakhta hu meri gudiya ki that means m very possesive well mein manta hu ki mujhe nahi acha lagta meri gudiya kisi aur se baat kare yaa kisise apne dil ki baat share kare well yeh feelings toh har koi pyaar karne valo ko aati hai matlab everyone is possesive toh inshort if ur in love ur possesive and if u say that ur not possesive that means u dont love him/her its as simple as that... well well well mein aisa nahi kehta hu yeh toh duniya ki soch hai.

Har insaan ki ek apni soch hoti hai aur use wohi soch aksar thik lagti hai waise hi meri soch mein mein yeh manta hu ki possesive rehna aur kisi k liye fikar rakhna ya kisiko pyaar karna alag alag baatein hai so please dont mixs it.

Shaq:- yeh shaq bade hi kaam ki cheez hai coz yeh kabhi sach samne le aati hai ya toh yeh tumhe sudhar deti hai matlab tum kisiko pyaar karte ho toh us par kabhi shaq nahi kar sakte aur jis din shaq ho gaya us par toh tum us par nahi apne aap par shaq karoge apne pyaar par shaq karoge toh please tum jisse bhi pyaar karte ho us par shaq kabhi mat karo. In my case mein hamesha apni sari baatein meri wife (GUDIYA) ko batata hu and she also does the same hum ek dusre se kabhi kuch nahi chupate chahe woh sahi ho ya galat but hum always clear karte hai taki hamare relation mein kabhi shaq ki jagah na aae coz ek baar shaq aa gaya toh woh kabhi dur nahi hoga.

Aur kai log toh pyaar ko possesive kehte hai aur possesiveness ko Shaq karna bhi kehte hai infact mere case mein bhi kabhi kabhi aisa ho jata hai meri wife kabhi kabhi mujhse puch leti hai tum mujh par shaq karte ho than i use to make her understand that y u always combine all this things which are soo different in there ways and she feels it better.

Well so yeh sab choti choti baatein thi jo mere liye bohot important hai aur shayad aap mein se ki aur k liye bhi ho sakti toh please aap bhi yeh 3 words ko kabhi ek na samje coz 3 k meanings alag alag hai thats it... thanks for reading patiently

1 comment:

  1. Well, Sohil, you have shared what you might have felt in your relationship and that is the reason you have developed such perception about these three words: Love, Possessiveness and Doubt!

    Mera manana kuch had tak tumse milta he...pyaar he to possessiveness ayegi hi...aur shaq ki koi gunjayish nahi he jab pyaar sachha ho....

    Jise aap dil se pyaar karte ho uspe atut vishwas bhi rakhte heo...aur shayad apne pyaar pe jayada vishwas hota he aur isiliye shaq jaisa kuch dimag ya dil me ata hi nahi...

    Care is the most important feeling which plays a role in any relationship and I feel if you care for someone a lot then you are surely in love with that person!

    Possessiveness shayad wo hoti he jab aap samnewale ki khushiyon ko ignore kar dete ho, unke life ke dekhne ke nazariye ko overlook kar dete ho aur apni soch, care aur pyaar ko itna importance dete ho jo kahin na kahin possesiveness me badal jati he....Possessiveness is too good actually coz it shows one do not want to lose that person by any chance! But we need to know ke kahin kuch jayada na ho jaye!

    Tum bahot hi pyare insaan ho...I am sure tum Gudiya ko bahot achhe se samjate honge. Aur usi tarah Gudiya bhi tumhari feelings ko! Tabhi to tum aaj saath ho! God Bless you guys always!

    ReplyDelete