Saturday, June 4, 2011

Dreams, Sapne

Well sabko pata hai ki sapne sabko aate hai aur sapne mein aabmi kuch bhi dekhta hai yaa sunta woh haqiqat bahot kaam baar hota hai waise hi meine apne life mein kai sapne dekhe aur kai sapne haqiqat mein bhi badal gaye ek chota sa example hi lelo:- yeh mere college k dinno ki baat hai jab mein saturday meri college khatam karke ghar pe ja raha tha us samay bus mein mujhe neend aai aur mein so gaya shayad yeh sapna mujhe tab hi aaya tha meine sapne mein dekha ke meri shaadi ho rahi hai well hum apna sapna hamesha yaad nahi rakh sakte aise kuch hi sapne hote hai jo hamesha yaad rehte hai aur yeh un sapno mein se ek sapna hai aur ha aur ek baat hum kabhi bhi sapna start hota hua nahi dekh sakte i mean woh bus dikhta hai kaise hua kyun hua kisiko pata nahi rehta toh jo meine us samay dekha tha woh mein share kar raha hu.





Ha toh hum kaha the well offcourse mere sapne mein ha toh meine dekha ki meri shadi ho rahi hai ladki bhi meine dekhi thi mere sapne mein aur woh ladki GUDIYA thi well yeh sapna jab mujhe aaya tab mein aur yeh ladki haqiqat mein ek ache dost hai lekin sapne ka ka dosh hai jo hum sochte hai pure din wohi sapne mein humko dikhai deta hai waise hi shayad meine bhi aisa kuch socha hoga yeh ladki k liye ki kaas meri isse shaadi ho jaye toh mujhe sapna aaya well continue karte hai mere sapne pe well meri uske saath shadi ho rahi hai tabhi pata nahi kaun aa jata hai aur woh meri shadi k khilaf hota hai well mujhe us aadmi ki shakal yaad nahi hai coz meine woh aadmi ko pehle kabhi nahi dekha but sapne mein woh meri shadi tudvana chahta tha tab achanak yeh ladki jiske saath meri shadi ho rahi thi woh use kehti hai ki mein shaadi karungi toh sirf is ladke k saath varan nahi karungi well mere haath mein tabhi ek gun aa jati hai achanak aur mein har ek aadmi ko maar gira ta hu jo mere aur yeh ladki k bich mein aa raha tha aur phir meri shadi continue hoti hai aur finally us ladki k saath meri shadi ho jati hai.





Well yeh tha mera sapna jitna dekha utna meine bayan kiya aur sach pucho toh yeh sapna mera haqiqat bhi bana hai well meine jo ladki sapne mein dekhi thi wohi ladki aaj meri biwi hai ha but sapne mein kisi ne meri shadi ko rukwana chahata lekin haqiqat mein aisa kuch nahi hua sab functions ache se hue aur aaj mein aur meri biwi donno hi bade khush hai. Well toh mera point yeh he ki sapne jo aate hai kabhi sach hote hai aur kabhi nahi.





Ek sapna aur hai jo mein kal raat aaya well kal shaam ko meri biwi se baat hui hum donno humare future ko lekar discuss kar rahe the matlab hum ek bacha lane ka soch rahe the u know itni khushi ho rahi thi baat karke ki hamara ek bacha hoga jo humein papa aur mama karke bulayega well uske bare mein toh yahi sab baatein soch kar mein soya and guess what mujhe sapna bhi yahi aaya

Meine sapne mein dekha ki hamara ek bacha hai itna cute hai fair hai aur healthy hai aur sab log uske saath khel rahe hai sapne mein bacha ladka tha aur karib 1 ya 1.5 saal ka hoga well sapna kafi hasin tha lekin subah jab alarm baja aur meri aankh khuli toh dekha yaar yeh toh sirf ek sapna tha but mujhe aaj ka yeh sapna hamesha yaad rahega coz jo meine kal raat ko socha tha wohi mere sapne mein hua aur shayad yeh sapna next year pura bhi hoga. Sapne mein jab mera bacha mujhe papa aur meri wie ko mama keh kar bula raha tha toh itna acha feel ho raha tha even now mein apne subah k sapne k bare mein sochta hu toh bada aacha feel hota hai aur chehre par ek smile si aa jati hai.

Meine yeh sapna meri wife ko abhi tak bataya nahi hai lekin sham ko ya phir kal use bata dunga ya phir woh shayad blog read karke pata kar legi but m sure use bhi utni hi khushi hogi jitni mujhe abhi ho rahi hai but aap sab bhi mere liye dua karo mera yeh sapna jald hi haqiqat mein badle aur mein papa banjau

Sapna:- Sapna yeh nahi hota ki jo aap raat ko sote samay dekhe lekin, Sapna yeh hota hai jo aapko sone na de

Monday, May 30, 2011

Gudiya

Yeh kahani hai ek ladki ki jo filhal meri wife hai aur jiko mein apni jaan se bhi zyada pyar karta hu. Is ladki ne mujhe jeene ka tarika sikhaya, kya sahi hai kya galat hai uska difference bataya agar sach bolu toh mujhe khud apne pairo par khada rehna sikhaya aaj mein jo bhi hu jaisa bhi hu sirf is ladki ki vajah se hu.

Meine apni life ko kabhi seriously nahi liya mere liye carrier kabhi important nahi tha mein bada ho kar kya karunga itna tak mujhe pata nahi tha lekin jis dinse yeh ladki meri life mein aai us din se usne mujhe samjhaya, mujhe apni life ka importance bataya, life mein carrier kitna important hai yeh bataya, life mein kuch kar dikhana hai yeh samjhaya well aisi kai baatein hai job har koi samjhata hai lekin jab isne mujhe bataya toh mujhe aisa feel hua ki shayad mein jo kar raha hu galat hai, life ka matlab sirf jeena nahi hai life ka matlab hai kuch kar dikhao.

Wll mere liye yeh ladki meri zindagi ka ek ahem hissa hai jiske liye mein kuch bhi karne ko taiyar hu coz usne mujhe har time support kiya hai usne mera saath kabhi nahi choda koi bhi probs hoti thi saath reh kar face karti thi aur sach mein is ladki ki himat ko dekh kar mujhme himat aati thi probs ko face karne k liye. yeh ladki meri har galti ko nazar andaaz karti hai lekin phir mujhe pyaar se samjhati hai aur kabhi kabhi toh mein jaan buch kar aisi galtiya karta hu taki woh mujhe samjhaye hehehehe... kya karu uske samjhane mein bhi itna pyaaar hai aur ha jab kabhi yeh mujhe par gussa karti hai baap re pucho mat lekin phir mujhe woh pyaar bhi utna hi karti hai. Mein kya batau yeh ladki mujhe kitni pyaari hai aur kis had tak mein isse pyaar karta hu mere pass toh apna pyaar izhar karne k liye words bhi nahi hai.

Well meion sirf itna kehna chahunga ki mere liye meri GUDIYA sab kuch hai agar jab kabhi mujhe mera parivar aur meri Gudiya k bich mein kuch choose karna pada toh mein sirf meri gudiya ko chununga aur uske saath sari zindagi guzaar na chahunga, mein filhal dubai mein hu aur woh india mein hai aur hum donno ek dusre se dur reh kar khush nahi hai par kya kare halat kuch aise hai but mujhe jaise hi chance milega mein use dubai bula lunga coz uske bina rehna matlab saans liye bina dil ko dhadkane jaisi halat hai mein nahi reh sakta uske bina yeh toh zahir baat hai aur jab kabhi mein aisa kuch sochta hu ki kabhi meri life mein aisa mod aaya ki hum dono juda ho gaye kasam se meri toh jeene ki himat nahi hogi uske bagair lekin bus pray karta hu aisa din mere nasib mein likha hi na ho yaar yeh dubai aa kar dur rehna bardasht nahi hota toh mere toh roungte khade ho jate hai life uske bina soch kar ufffffffff it was a bad thought.



Inshort i loved my Gudiya before, i love her now and will love her forever. Well jab bhi woh mujhe puchti hai ki " Jaan tum mujhe kitna miss karte ho" mera aksar yahi jawab rehta well mein tujhe "Jab jab apni saans leta hu tab tab tujhe miss karta hu" aur woh ha deti hai well but i reallly mean it I LOVE HER ALOT

Sunday, May 29, 2011

Pyaar, Possessive & Shaq are 3 different words dont make 1 meaning

yaar aaj ka blog hai about being soo possesive well mujhe toh yeh samaj nahi aa raha hai ki y the word "POSSESIVE" is used for the one who cares? mera matlab hai hum jab kisi ko pyaar akrte hai toh uski fikar uski parvah karte hai toh instead of calling yaar tum mera kitna khayal rakhte the says ur too possesive halaki mere samne pyaar aur possesive donno alag cheez hai aur plus kai log possesive ko shaq karna bhi kehte hai.

well toh mein sirf yeh 3 cheez clear karunga in my stlye matlab jo mein manta hu woh mein kahunga

Pyaar:- yeh ek feeling hai jo har kisi k saath nahi hoti I mean bohot tarike ka pyaar hota hai family love, friendship love, aur ek pyaar jo hum apne kisi ko chahne vale ko karte hai. I believe that when u love ur lover is a different kind of feeling coz jab tum kisi ko pyaar karte ho toh tum us par khud se bhi zyada bharosa karte ho agar tum yeh mante ho ke yaar mein sirf pyaar karta hu lekin bharosa nahi hota toh yeh pyaar nahi hai yeh sirf infatuation hai matlab woh insaan sirf tumhe acha lagta hai uski baatein achi lagti hai lekin use pyaar nahi kehte.

Pyaar hota hai do dillo k milne se agar mein apni baat karu toh mujhe pyaar huva hai meri gudiya se coz mujhe uski har baat achi lagti hai, uski har soch sachi lagti hai, uske saath bitaye har waqt ko mein ehmiyat deta hu, mujhe uske gusse mein bhi pyaar nazar aata hai aur usse dur rehta hu toh har waqt uska khayal aata hai. toh yeh thi meri feelings aur meine yeh feelings bohot saalo tak feel ki uske baad mein sure hua k I am in love yeh hota hai pyaar.

Possessive:- well yeh word mujhe kabhi kabhi acha lagta hai sunne mein aur kabhi kabhi gussa dilata hai mera yeh manna hai ki tum possesive raho lekin itna possesive mat ho jao ki samne vala tumhe keh de k taht ur very possesive or y ur soo possesive halaki possesive ka matlab hota hai fikar rakhna and u know what mein toh bahot fikar rakhta hu meri gudiya ki that means m very possesive well mein manta hu ki mujhe nahi acha lagta meri gudiya kisi aur se baat kare yaa kisise apne dil ki baat share kare well yeh feelings toh har koi pyaar karne valo ko aati hai matlab everyone is possesive toh inshort if ur in love ur possesive and if u say that ur not possesive that means u dont love him/her its as simple as that... well well well mein aisa nahi kehta hu yeh toh duniya ki soch hai.

Har insaan ki ek apni soch hoti hai aur use wohi soch aksar thik lagti hai waise hi meri soch mein mein yeh manta hu ki possesive rehna aur kisi k liye fikar rakhna ya kisiko pyaar karna alag alag baatein hai so please dont mixs it.

Shaq:- yeh shaq bade hi kaam ki cheez hai coz yeh kabhi sach samne le aati hai ya toh yeh tumhe sudhar deti hai matlab tum kisiko pyaar karte ho toh us par kabhi shaq nahi kar sakte aur jis din shaq ho gaya us par toh tum us par nahi apne aap par shaq karoge apne pyaar par shaq karoge toh please tum jisse bhi pyaar karte ho us par shaq kabhi mat karo. In my case mein hamesha apni sari baatein meri wife (GUDIYA) ko batata hu and she also does the same hum ek dusre se kabhi kuch nahi chupate chahe woh sahi ho ya galat but hum always clear karte hai taki hamare relation mein kabhi shaq ki jagah na aae coz ek baar shaq aa gaya toh woh kabhi dur nahi hoga.

Aur kai log toh pyaar ko possesive kehte hai aur possesiveness ko Shaq karna bhi kehte hai infact mere case mein bhi kabhi kabhi aisa ho jata hai meri wife kabhi kabhi mujhse puch leti hai tum mujh par shaq karte ho than i use to make her understand that y u always combine all this things which are soo different in there ways and she feels it better.

Well so yeh sab choti choti baatein thi jo mere liye bohot important hai aur shayad aap mein se ki aur k liye bhi ho sakti toh please aap bhi yeh 3 words ko kabhi ek na samje coz 3 k meanings alag alag hai thats it... thanks for reading patiently

Wednesday, May 25, 2011

Problems during affair life

yaar ab prob kis ki life mein nahi hota har kisi ki life mein kuch na kuch toh problems hote h hai well toh kuch prob is love story mein bhi hai.

Love story ? yaar mera pichla blog read karo agar love story janni hai toh aur unko kya probs aai hai yeh janna hai toh yeh blog read karo

Ladka:- well woh toh dil khush insaan tha aur abhi bhi hai bus abhi toh zimedari wala insaan ban gaya hai.. anyways toh apna point tha uski love life mein probs.

Toh mein batata hu well ek acha din us ladki ne usko phone kiya jaise mein last blog mein likha tha us ladki ya yeh pehla call tha toh un donno ne friendship ki ek dusre k saath, donno hi under under se bahut khush the coz woh ladka aur woh ladki donno under hi under ek dusre ko chahte the lekin bus jata nahi paye.

Pehle din jab us ladki ne use phone kiya toh unhone karib 10 minute baatein ki hogi just as a general talk ek dusre ka haal chal pucha aur phir ladke ne mujhe please dubara call karna bolke phone rakh diya well ladka kafi khush tha us din i guesss ladki bhi utni hi khush hogi phir dusre din us ladki ne phir se call kiya donno ne khub sari baatein ki aur kafi saari baatein bhi clear ki aur donno ne ek dusre k saath friendship kabhi na todne ka vaada kiya phir ek baar ladki ne ladke ko miss call diya toh ladke ne call kiya haal chal pucha aur sirf general baatein hoti thi par sach toh yeh tha ladka aur ladki donno ko ek dusre se baat karne mein bada maza aata tha. zahir si baat hai jab tum kisi ko pyaar karte ho toh uske saath baatein kabhi khabhi khatam nahi ho sakti aur uski sabhi baatein achi lagne lagti hai.

Kuch din tak yeh sil sila chalta raha i mean kabhi ladki call karti thi toh kabhi ladka call karta tha but pehli prob yeh thi ki ladki k gharwalo ko pasand nahi tha ki woh ladka us ladki se baat kare lekin phir bhi yeh donno chup chup kar baatein karte rehte the aur zyada tar hamesha ladki usko call karti thi aur sirf uske ghar ke land line se call karti thi ladka bhi usko call karta tha lekin kabhi kabhi coz ladke ki pocket money kum thi toh ladke ko jab bhi us ladki ko phone karna tha us din woh 2 time mein se ek hi time khana khata tha aur ek time ka khana skip karta tha coz woh ek time k khane k rupees se woh us ladki ko phone kar sake.

phir dheere dheere inki dosti badne lagi pehle toh phone par baat karte the ek din ladke ne usko internet cafe mein jane k liye kaha coz ladke ko usko dekhna tha aur ladki bhi bahut khush thi coz donno ne ek dusre ko kafi time se dekha nahi tha toh donno net par jate the cam 2 cam chat karte the kafi khush rehte the plus donno ne ek dusre ko acha attach karke rakha tha agar woh donno ki din mein ek bhi baar baat nahi hoti thi toh donno upset raha karte the phir ek din ladki k gharwale shayad bahar gaye the aur ladki ne ladke ko turant call kiya aur donno phir se baat karne lage.

Woh din ladke ka sabse acha din tha aur sabse bura bhi?? are yaar batata hu ek minute... well ladki ka call aya donno baat kar rahe the ladke ne thodi himat jutai aur us ladki ko bola ki please ek baar "I LOVE U" bolo. ladki ki himat nahi hui coz uske saath aisa pehle kabhi nahi hua tha ladke ne usko bohot zid kiya samjhaya ki yaar we are just friends aur friends mein I LOVE U bol sakte hai finally us ladki ne "AS A FRIEND" I LOVE U bola well but ladke k liye toh sirf I LOVE U sunna zyada important tha phir donno ne kuch serious baatein ki ek dusre ke saath ek dusre ki life ko lekar ladke ne us ladki ko bataya ki woh usko 6th standard se pasand karta hai jab woh pehli baar mile the aur ladki ne bhi bataya ko woh bhi usko tabse hi pasand karte the yeh baat hui aur ladke ne ladki ko propose kiya.

Ladke ko laga shock

Ladki ne ladke ko samjhaya ki woh bhi usko utna hi pasand karti hai aur ladki ne uske pyaar ka izhar bhi kiya aur yeh sab sun kar ladke ko bohot hi khushi hui lekin ladki khush nahi thi phir ladke ne ladki se pucha ki kya baat hai tum itni khoi khoi si kyun ho aur ladki se raha nahi gaya aur bataya ki ladki ki engagement fix ho gai hai. yeh suna ladka ki halat kharab ho gai kya karna chahiye use kuch pata nahi chala woh ek dum khamosh ho gaya lekin ladki ne usko himat dilai ladki ne kaha mein is rishte se khush nahi hu ab tumhe kuch karna padega toh yeh himat ladki ki dekh kar ladke ko bhi himat aai aur usne kuch karne ki than li.

Well woh raat donno k liye badi hi bhayanak raat thi coz donno ne ek dusre se apne pyaar ka izhar kar toh liya hai lekin ladki ki engagement hone wali hai kuch din k baad well dusre din ladki ne call kiya donno ne ek dusre ka haal chal pucha aur donno ne ek dusre ka saath kabhi na chodne ka vaada kiya aur thodi baat karke phone rakh diya.

2 probs all ready aa gai hai
1. ladki k gharwale ladke ko pasand nahi karte
2. ladki ki engagement hone wali hai

3 problem Ghar ka phone BILL


Ladki k ghar phone bill aya uski mom woh bill dekh kar heran ki yeh month ka bill itna kyun hai uski mom bina shaq kare sidha pucha are u talking with SOHIL(LADKA) ladki ne mana kiya uski mom ne dubara pucha ki agar baat karti ho toh bata do varna telephone office mein ja kar number nikvate hai ki itne phones kaha hua hai ki itna bill aya again she denied that ki woh ladke se baat nahi karti well uski mom ne kaha lets go to telephone exchange office well ladki aur uski mom ready ho kar telephone exchange jane k liye nikle tab ladki ne kaha k woh ladke ko call karti hai he mom was shocked uski mom donno wapas ghar gaye aur uski mom ka pehla question tum donno kabse baat kar rahe ho?? ladki ne kaha ki kuch din se ladki ki mom bohot hi pareshan thi uski mom ne kaha mujhe SOHIL se baat karne hai phone lagao uski mom ne ladke ko call kiya aur samjhaya ki meri ladki ko bhul jao aur uski sagai hone vali hai plz usse baat karna chod do. Ladke ne kaha k woh usse bohot pyaar karta hai aur hamesha khush rakhega ladki ki mom ko thoda vishwas aaya ladke par aur uski mom ne kaha ladke se thiik hai apne papa se kaho mujhe call kare mujhe unse baat karni padegi.

Ladke ki life mein 3 Probs ek saath
1. ladki ki sagai rokni thi
2. college mein ladke ki final exams chal rahi thi
3. Ladke ko apne gharwalo ko samjhana tha

Ladka bohot pareshan tha kaisa bhi uska mann padhai se uth chuka tha usne apni exams mein dhyan nahi diya aur woh exams mein fail ho gaya. Well ladkne toh padhai chod di lekin aur 2 tension the ek toh ladki ki sagai rokni thi aur dusra ladko ko apne ghar par baat karni thi.

Ladke ne ek acha din dekh kar thodi himat juta kar usne apne papa se baat ki unhe sab bataya lekin ladke k papa ne mana kar diya ladke ne samjhane ki bohot koshish ki lekin uske papa nahi mane. uske papa ka sirf yehi kehna tha k pehle tum apne pair par khade ho jao phir sochunga. ladka bohot hi pareshan sa rehta tha aur jaise jaise din nikalte the ladki ki sagai ki date pass aati gai. Ladka puri ladai akele lad raha tha shayad uske dosto ko toh yeh sab pata bhi nahi tha phir ek shaam ladke ne socha uske cousin bade bhai se baat ki jaye.

Ladka uske cousin k ghar gaya uske saath beith kar baat ki usne apne cousin ko samjhaya kya chal raha hai aur usne apne cousin ko bola k aap papa se baat karo toh shayad woh man jayenge uske cousin ne baat ki lekin phir bhi papa nahi mane finally ladke ki life mein ek acha din aya jab ladki ne himat karke uske ghar pe sagai k liye mana kar diya ladki ki yeh himat dekh kar ladke ko bhi ladne ki himat aai aur usne papa se kaha ki thik hai aapko jab baat karni hai tab karo lekin aap jab tak baat nahi karoge ladki k gharwalo se tab tak woh khana nahi khayega papa ne bhi us ladke ki himat ki exam li 1 din ho gaya ladke ne kuch nahi khaya 2 din 3 din jab 4 din ladke ko chakar aae aur woh gir gaya tab papa ne ladki k ghar par pehli baar phone kiya aur ladki ki mom se baat ki.

Well mere papa aur ladki ki mom k bich kafi sari baatein hui aur kafi sari baatein clear bhi hui but at the end ladki ghar wale bhi mann gaye aur ladke k gharwale bhi maan gaye and all were happy for this relation

Yaar pyaar karna bohot aasan hai lekin wohi pyaar k liye ladna ek yudh hota hai coz aksar aisa hota hai ki tumhe choice karna padta hai pyaar ya parivar aur us time agar hum choice nahi kar sakte toh sach maniye hum kabhi pyaar nahi kar sakte aur agar kar sakte toh kabhi us pyaar ko nibha nahi sakte.

Mein aur meri wife (is story k LADKA, LADKI) hum ne yeh time bohot mushkil se nikala tha lekin humne piche hat ne faisla kabhi nahi liya koi bhi probs aai hum ne mil kar use face kiya aur aaj mein garv k saath keh sakta hu ki mein jo faisla liya sahi liya kyunki mujhe yeh faisla lene ki himat mere pyaar ni di thi.

I LOVE U ALOT GUDIYA



Kahani ek ladka aur ek ladki ki

Jo mein likhne ja raha hu woh kahani kisi ki bhi ho sakti hai shayad aapki ya toh shayad meri filhal yeh kahani hai hum mein se kisi ek ki.

Kuch saal pehle 6th standard mein ek ladka tha u know the same old school boy half pents pehen kar school jana and all woh aksar apne khayalo mein hi khoyalon mein khoya rehta tha uski life ka kuch bhi maqsad nahi tha yaar kaise hoga woh toh abhi 6th standard mein pad raha hai usko padhai k alava sab kuch acha lagta tha khel na kudna masti maarna lekin phir bhi woh kaise na kaise karke padhai karta tha. Woh Ek society mein rehta tha aur udhar us society mein uske kafi saare dost bhi the ladko mein bhi kuch dost the aur ladkiyon bhi kuch dost thi lekin ek din use ek ladki mili (yaar mili matlab uski ek friend ke saath woh ladki bhi aai thi) yeh ladke ko us ladki ko dekh kar bahut acha feel hua (jaise suraj ko khushi milti hai sham ka chand dekh kar) bus aisa kuch usko feel hua tha.

About that girl

Jo ladki ko usne dekha tha woh ladki ne i guess kuch brown color k kapde pehne the aur woh 2 choti banakar aai thi sachi bahut beautiful lag rahi thi aur sabse achi baat toh yeh hai tab us ladki ko bhi kuch feel hua yeh ladke se mil kar but donno ko iske bare mein kuch pata nahi chala (yaar kaise pata chalega they were soo small i mean they are not even matured) but at that time dono ki friendship ho gai.

Toh story us ladke aur woh ladki ki start hoti hai yaha se

Ladka jo apni life ko masti se nikal ta tha aur ladki jo life ko seriously leti thi woh donno alag alag school mein padte the lekin donno ek hi society mein rehte the, bus donno ka ghar kuch duri par tha donno subah apne apne school jate phir hamesha kahin na kahin unka milna hota tha (milna matlab jaise kahin khel ne gaye sham ko toh milte the cycle chalate samay milte the in this sense) jaise jaise time nikal te gaya waise waise woh bade hote gaye aur saath mein unki feelings bhi unhone phir duniya dekhi tab usnko under se aisa feel hua jaise woh ek dusre ko pasand karte the.

Ladke k gharwale

Ladke k gharwale bohot hi broad minded hai aur kabhi us ladke ko kuch kehte nahi the i mean agar galti kar raha hai toh bhi nahi ya kuch acha kar raha hai toh bhi nahi well ladki k gharwale bhi broad minded the but ladki ki mom ko pasand nahi tha woh us ladke se baat kare toh yeh prob this un donno k bich.

Thode saal baad

well life kisi k liye na ruki hai na rukegi waise hi unki life bhi chalti rahi lekin ek baat tae ho gai thi k dono ladka ladki ek dusre ko dil hi dil mein pasand karte hai lekin baat nahi kar sakte the coz donno alag alag school mein padte the phir 10th ki exams k baad jab 11th standard aya tab ladki ne us ladke ki school mein admission liya coz ladki ki school mein sirf 10th tak hi padai thi toh ab ladka ladki donno ek hi school mein hai lekin phir bhi kabhi ek dusre se baat nahi kar sakte coz donno ki stream alag alag hai ladki science stream mein thi aur ladka commerce mein tha aur plus 11th standard mein ladka already ek ladki k saath affair mein tha par phir bhi ladka hamesha us ladki ki class k aaju baju ghumte rehta tha sirf us ladki ko dekhne k liye well woh ladke ko bhi pata tha ki ladki usko hi chahti hai lekin ab donno ek dusre se baat karne se sharmate the aur unhone apni school life mein kabhi baat nahi ki.

Ladke ka pyaar ladki k liye

Ladka toh us ladki ko 6th standard se pasand karne laga tha aur shayad ladki bhi phir us ladke ne us ladki ko folow karna start kiya ladki agar tution jati thi toh woh uske tution tak picha karta aur tution k bahar bike ko stand par lagake uske tution k chutne ka wait karta agar school mein the toh uski class k bahar round lagate rehta par kabhi usne uske saath baat karne ki himat nahi jatai aur ladka yeh sab sure ho kar karta tha ki ladki ko yeh sab pasand aaye aur sach kahu toh ladki ko bhi yeh sab bahut acha lagta tha coz jab ladka ladki ko dekhne aata tha tab ladki bhi usko dekh sakti thi aur aise inki puri school life nikal gai.

Donno College mein

Well ab aapko lagta hoga k donno college mein bhi saath hi honge lekin aisa nahi hai ab i mean well ladki toh uske gaun ki college mein hi padh rahi hai aur ladta bahar padh raha hai zyada dur nahi uske gharse 3 ya 4  ghante ka rasta hai toh woh udhar college ki hostel mein hi rehta tha ghar bahut kum aata tha aur agar aata bhi tha toh sirf woh ladki k liye i mean sirfuse dekhne k liye.

Pehli baar baat hui 

Aaj bhi mujhe yaad hai ramazan ka mahina tha ladke ne uske friend ko bola ki us ladki ko uska number de aur us ladke ko phone kare well aur kya ladki ne phone kiya ladke ka toh hosh hi thikane nahi raha coz usne bohot time k baad uski ladki ki awaz suni usse baat ki aur ladki bhi bahut khush thi ki usko us ladke se baat karne mili well bus ab kya aur ladka ladki donno ek dusre se daily baat karne lage aur donno ne apne pyaar ka izhaar kiya aur finally aaj woh ladki meri BIWI hai

Happy Ending

Well jo read karne mein itna easy hai woh real life mein bahut mushkil tha mein next blog mein uske bare mein likhunga ki unko kya probs thi aur unhone kaise face kiya

LADKA - Taher (SOHIL)
LADKI - Alefiya (GUDIYA)

Monday, May 23, 2011

Kahani Mere Guzre hue BACHPAN ki

Hello readers

Well I guess aap sab maze mein ho well toh chalte hai ek baar phir se mere bachpan ki aur jaisa ki apne mere last blog mein pada ki mein school ek Rickshaw mein jata tha aisa hi ek aur kissa hai... Chalo toh start karte hai thoda apne bare mein aur kahunga?? mujhe Animals aur Birds bahut hi pasand hai I mean always wish karta tha ki mein ek DOG ghar pe rakh saku lekin I am 'Muslim' Dog ko pet nahi rakh sakte lekin mujhe bada hi lagau tha kutto se hehehheh "yaar kutta sounds soo ????????? instead of DOG"

Well toh ek din aisa hua kiiiiiiiiii... Start it again mein shayad 4th ya 5th standard mein tha exactly pata nahi but hua tha aisa ki mere ghare sab log HAJ(religious place) ke liye gaye the toh mein apni Aunty k paas rehta tha toh ek din aisa hua mein school toh Rickshaw mein gaya but mein return ghar paidal aaya apne friends k saath toh raste mein meine kuch Puppys dekhe(kutte k Bachhe) mein unse thodi der kehla aur jab mein vapis jane laga toh puppy bhi mere saath saath aane lage GOD they were soo cute well toh mujhe vapis unse khelne ka dil kara aur mein phir se unke saath busy ho gaya phir thodi der k baad mein vapis jane laga toh ek puppy mere piche piche aane laga ab mera dil bhar gaya tha us puppy par mujhe itna pyaar aaya meine socha kyon na use ghar le jaya jaye but dar ta tha ki ghar par pata chale ga toh meri toh lagegi.

Lekin meine himat jutai aur meine apne bags se thodi books nikal di aur jaha se ye puppy mila vaha meine apni books chod di aur mein apne bag mein us cute se puppy ko daal diya aur ghar ki aur chalne laga well thodi der k baad mein ghar pohcha bohot hi pareshan tha coz i have alerady lost my books and in bag theres a puppy i was sure m gonna get good from home. Mein sidhe apne room mein gaya aur puppy ko bag se bahar nikala aur usko ek chote se box mein rakh diya phir aunty ne khana rakha aur mujhe khane k liye bulaya u know what i did meine khana khaya aur ek chapatti puppy k liye chupa kar le gaya aur puppy ko de di.

Afternoon khatam hui shaam start hui aunty ne mujhe apna homework karne k liye bulaya i went there she asked me where are my book ab mein fas gaya coz books toh meine raste par hi chod di than i confess to aunty that this all happen I saw a puppy i palyed with him for few minutes and than I put that puppy in my bag and I brought it to home Aunty was schoked hearing this she asked me wheres the puppy I told he is in my room she told me to throw him out i was soo scared i took that puppy and left him in my garden than aunty again called me with books and again i was affraid what to answere now well than anyhow I told my aunty that the place from where I took that puppy i left  my few books there aunty was really mad at me after hearing this she suddenly took me to the place where i left my books luckyly my books was there we took the books and came back home she shouted at me she scolded me I was crying i felt sorry and told her I wont do such things again and everything went alright hehehehe.

Well the best thing was when my aunty told my parents about this when they came back from HAJ my parents were smiling coz they knows me how I am. I am kinda animal lover and finally everything was fine

Aao chale mere bachpan mein


Hi well come back toh chalo mein tumhe apne bachpan mein le chalta hu, weise kuch khaas nahi hai jese sab ka bachpan hota hai wese hi mera bhi hai par kya pata shayad aap logo ko kuch alag lage.

Yeh bahut hi purani baat hai coz mein kafi bada jo ho gaya hu phir bhi andazan??? yeh baat hai jab mein 1st ya 2nd standard mein tha. well i know mein cute lagta tha half pents pehen kar school jata tha well us time ka mujhe zyada kuch yaad nahi hai but mein school ek "Rickshaw" mein jata tha.
Yeh photo dekhiye bus mera "Rickshaw" bhi aisa kuch tha itni choti si "Rickshaw" mein hum kafi sare bache jaate the par phir bhi hamara "Rickshaw" kabhi thakta nahi tha, are are are mein apne Rickshaw wale uncle ka naam toh batana bhool hi gaya well unka naam "RAJNI" tha are yaar KANT bina wala RAJNI hum unko RAJNIUNCLE keh kar bulate the. Pata hai week mein kabhi 1 baar ya toh kabhi 2 baar unko kisi na kisi parents se daat sunni padti thi coz shayad galti bhi unki hoti thi. Well actually hota kya tha hamare Rajni uncle theire pan khanevale toh subha subha woh pan kha kar sab bacho ko lene aate the toh hota tha yeh k agar koi bacha masti kar rata tha ya phir Rickshaw se hath bahar nikal ta tha toh woh us bache par chilate the aur hota tha yeh jab woh chilate the tab unke muh se thuk udta tha aur woh thuk unke aas paas bethe hue bacho par udta tha aur phir unki shirts par kabhi daag bhi lag jata tha oyee yaar Rajni uncle paan khate the na toh woh thuk mein bhi pan udta tha aur us kathe ka daag lag jata aur phir jab bache ghar jate the toh unki mummy sab Rajni uncle ko daant ti thi toh samje unhe kaise daant padti thi. Toh yeh toh tha chota sa kissa mere life ka jiska kuch matlab toh nahi hai but jab yaad aata hai toh acha lagta hai

Well yeh tha ek chota sa kissa aisa bahut kuch hai mere pass kehne ko par lagta hai shayad time kum pad jayega padne valo ko isiliye mein yaha par ek kissa khatam karta hu aur ek kissa next blog mein thik hai fikar mat karna mein yahi se continue karunga

tab tak k liye TATA


aaj kuch acha likha jaye

Hi
hows u

Well the very first step to write something is just an introduction. Well my name is Taher and my friends calls me Sohil coz iske piche bhi ek story hai jo mein baad mein share karta hu well meri englsih achi nahi hai so will write in HINGLISH hope no one minds it hahaha. Anyways jaise k aapne dekha mera title hi hai about confessing so I will be an open book to all my readers. Well is waqt mein thoda jal d mein hu but i promise i will write soon tab tak k liye please itna read karo hehehehehe.. aur ek baat kya likhna hai kaise likhna hai pata nahi mera likha hua kitna meaning ful rahega yeh bhi pata nahi but jo kuch bhi likhunga dil se likhunga aur ek baat yeh mujhe likhna start karvaya hai kisine toh atleast uski khushi k liye likhunga will meet u soon......... tata